WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

Jio 4G Sim 3G Phone में कैसे चलाये 100% working ?

Hello friend aaj me aapko is trick me batane ja raha hu ki jio 4G sim 3G phone me kaise chalate hai. Jaisa ki aap log jante hai ki jio 4G sim keval 4G smartphone ke liye available hai. India me abhi 4G phone bahut kam logo ke pas hai. Is tricks se aap 3G phone me bhi jio 4G sim chala sakte

Aaj har koi jio 4G sim use karna chahata hai. Aur ye sahi bhi hai free me net kon nhi use karna chahta. Reliance jio ne aisa offer hi launch kiya hai. Me jada kuch na batate hue point per chalata hu.
  • Sabse pahle apne mobile se 1800-200-200-2 ye number dial kare,
  • Dial karne ke baad apke number per ek massage me link aayega.
  • Link per click karke my jio app download kar le. Aur Jio app open kare.
  • My jio app open karne ke baad GET JIO SIM par click kare.
  • Click karne ke baad AGREE kar de.
  • Next step me apko GET JIO OFFER par click kare.
  • Ab apna location set kar ke next kar de.
  • Ab jo code screen par hoga copy kar le ya screen shoot le le.

3G phone me jio sim chalaye-

Sabse pahale to aap apna processor check kr le.kyu ki yah trick 2 tarah ke Processor me kam karega.
1-Mediatek Processor
2-Qualcomm Processor

Phone ka Processor check kaise kare

 

  • Sabse pahle aap CPU Z app ko play store se download kar le.

 

  • Download hone ke baad Install kar le aur open kare
  • Open karege to aapke phone ka.sab details dikhayi dega.
  • Yadi aap ka phone Mediatek Processor hai to uper Mediatek Processor likha hoga

Methods.1 Mediatek Processor ke liye

Yadi aapka Processor Mediatek hai to is step ko follow kare.
  • Sabse pahale aapko apne phone me 1 app download karna hoga jiska name hai MTK engineering mode.
  • App download kane baad install kar le aur open kare.
  • Open karne ke baad MTK SETTING per click kare.aur Network selection per jsye
  • Uske baad GSM/WCDMA select karke save kar de (sim slot 1 me hona chahiye aur dusra sim slot ko khali rahne de ) phone ko restart kar de.
Bas ho gya ab aapke 3G phone me jio 4G ka network aane laga hoga.

Methods 2-Qualcomm Processor 4g sim 3g phone me chalaye

Yadi aapke phone ka Processor Qualcomm hai to is step ko follow kare…
  • Sabse pahle aap shortcuts master ( lite) app play store se download kar le.
  • Download karne ke baad Install kare aur open kare.
  • Open ksrne ke baad main menu me sing in per click kare aur uper system per jsye aur search box me engineering mode type kar ke search kare.
  • Ab Engineering Mode me Simcard_test_Activity option ko open kijiye. Open karne ke baad network mode me LTE/GSM auto mode select kijiye. Incase agar aisa koi option aap me show nahin ho raha to age padhe.
  • Phone ka dial pad open kare aur *#2263# or *#*#4636#*#* dial kare. Dial karne ke baad Phone information me jaaye aur Network mode ko find kare. Network mode me LTE/WDMA/GSM auto mode select kijiye and save kar dijiye

Ab phone ko off kare jio sim ko slot 1 me lagakar restart kare kuch der wait kare aapke phone me jio network aane lagega.

Thank u for reading my article yadi aapko kuch puchna ho to comment box me jakar coment kar sakte hai.
WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now
Share on: