Home » Uncategorized » Under 50KB Signature with Photo मोबाइल से कैसे बनाये ?

Under 50KB Signature with Photo मोबाइल से कैसे बनाये ?

Hello friends jab bhi aap signature with photo , Online form dalte ho to form me aapko photo bhi upload karna hota hai signature ke sath, aur uska size 50kb ke under me hona chahiye.

Jisme photo ki size 3.5 cm Width 4.5 cm hight hona chahiye, aur signature 3.5 cm width and 1.5 cm hight karna hota hai. Photo aur signature milakar maximum 50 kb ka hona chahiye.

Yadi aap Online Koi Form apply kar rahe hai, to aapko Usme Photo ke liye Under 50kb size ka Conditions Jarur milega. Aur jab tak aapke Passport size photo ke sath Signature kiya hua photo Ki size 50kb me nahi hoti, Image upload nahi hoga aur aap Us Form ko Apply nahi kar payenge.

Signature With Photo 50kb Main Kaise banaye puri jankari

Is jankari me ham janenge, Signature kiya hua photo ko apne mobile me under 50kb Main kaise banate hai.

Photo Resize karne ke liye usefull size cm, inches and pixels.

Size (cm)

  • 5.08 ×5.08 cm
  • 3.5 ×4.5 cm
  • 3.5×3.5 cm
  • 3×4 cm
  • 5×7 cm
  • 3.3×4.8 cm

Size (inches)

  • 2×2 inches
  • 1.38×1.77 inches
  • 1.38×1.38 inches
  • 1.18×1.57 inches
  • 1.97×2.76 inches
  • 1.30×1.89 inches

Size (pixels) 300dpi

  • 600×600 pixels
  • 413×531 pixels
  • 413×413 pixels
  • 354×472 pixels
  • 591×827 pixels
  • 390×567 pixels

Mobile se 50Kb Photo size Signature ke sath banaye.

Doston mobile me bhi aap bade aasani se signature with photo , form Online karne ke liye bana sakte hai. Bas niche diye gaye step ko follow karte rahe.

Step.1 First aapko profile photo aur signature Kiya Hua photo ko Apne Smartphone Main lena hai.

Step.2 Ab ise apne photo edit option se bariki se crop karna hai.Crop karne ke baad Image resize app apne mobile me download kar lena hai. niche Photo Resize app Ka Link diya gya hai. Yahan se Download kar sakte hai.

Photo Resize App

Step.3 App download hone ke baad ise apne Smartphone me install kar lena hai, Ab Profile photo aur Signature Photo ko select karke app me open kare.

Step.4 Upar photo resize ka option diya hai. Uspr click karen.Click karne per photo resize ke kayi option milenge.but custom ka 2 option diya hoga. Jisme ek % ka aur dusra pixal ka , aapko % wala chhod kar pixal custom option per jana hai.

Step.5 Jisme ab aapko Profile photo ka custom me 413 ×431 karna hai. Aur save kar de. Bas aapko Profile photo resized ho gya. Ye ek New Folder me Gallery main save ho jata hai.

Step.6 Ab signature ko bhi aise resize karna hai. Pahle signature ko crop kar le. Photo resize app me open karen signature ka custom pixel hoga 413 ×177 pixel karke save kar de.

Step.7 Ab aapne photo signature resized kar liya hai. Next aapko Profile photo and Signature photo ko Picsart app use karke jodna hai.

Step.8 PicsArt app Open kare, aur Ek New Blank Page Lekar Profile photo and signature photo ka layer lekar Jod dena hai. Jodne ke baad Bariki se Crop kar lena hai. Aur Save kar dena hai.

Step.9 Singnature with Photo Save hone ke baad ab ek baar phir se ushe Resize karna hai. Finally photo ko Resize karne ke liye, Photo Resize app ko Open karke Photo Ko select kare, Custom me 276×472 pixel karke save kar dena hai.

Ab aapka Signature with photo size 50kb ke under me aa gya hoga. Ab use aap upload kar sakte hai.

Youtube video Signature Photo Under 50kb kaise banaye.

Yadi aapko Is batayi gayi jankari samajh me na aayi ho to is video main Steps Ko follow karke 50kb photo bana sakte hai.

Conclusion-

Signature with Photo ki jankari ko padne ke liye dhanyavad, Yese hi Latest jankari ko Padne ke liye Hindihelp4u par Visit karte rahe hai, aur Facebook, Twitter par Follow jarur kare.

Share on:

1 thought on “Under 50KB Signature with Photo मोबाइल से कैसे बनाये ?”

Leave a Comment